• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Na Murawwat Hai Na Ulfat Na Wafa Mere Baad

Na Murawwat Hai Na Ulfat Na Wafa Mere Baad

na muravvat hai na ulfat na vafa mere ba.ad

mera sarmaya bhi duniya se uTha mere ba.ad

bazm-e-matam hi men aa jaao zara mere ba.ad

chahiye kuchh to tumhen pas-e-vafa mere ba.ad

sham-e-madfan se ulajhti hai saba mere ba.ad

kaisi bigḌi hai zamane ki hava mere ba.ad

charḳh kam-zarf hai sar-garm-e-jafa mere ba.ad

us ko marqad bhi khaTakta hai mira mere ba.ad

kaun leta tha gham-e-arz-o-sama mere ba.ad

marne vaala koi paida na hua mere ba.ad

haa.e phir bhi na miTa un ki tabi.at ka ghubar

kar chuke ḳhaak miri vaqf-e-saba mere ba.ad

husn ka dekhne vaala koi baaqi na raha

kis se karte ho tum ab sharm-o-haya mere ba.ad

tum ne do phuul to madfan pe chaḌha.e hote

tum se itna bhi kabhi ho na saka mere ba.ad

ho gaya qais ko bhi ishq ka da.ava paida

ek afsana naya tum ne suna mere ba.ad

ham ne dekha nahin us zarf ka piine vaala

shisha karta hai ye saaqi se gila mere ba.ad

meri hasti se qayamat ke uThe hain fitne

chhup ke parda men koi rah na saka mere ba.ad

zulf khole hue rote hain vo pa.in-e-mazar

jazb-e-ulfat ne baḌa kaam kiya mere ba.ad

ḳhak-e-turbat se miri log shifa paate hain

maraz-e-ishq ki nikli hai dava mere ba.ad

ab vo aram kahan ghair ke virane men

shab-e-furqat hai giraftar-e-bala mere ba.ad

barq ne rakkha hai derina ta.alluq qaa.em

ashiyana men mire phuul paḌa mere ba.ad

TukḌe hota hai jigar sun ke mohabbat ka bayan

koi sunta nahin bulbul ki sada mere ba.ad

shaiḳh-e-makka ne paḌha.i hai janaze ki namaz

log samjhe mujhe kya janiye kya mere ba.ad

kyuun baḌhe un ka qadam gor-e-ghariban ki taraf

haath aaya hai unhen uzr-e-hina mere ba.ad

nau-giraftar-e-bala ek mira dam nikla

dam-e-sayyad men koi na phansa mere ba.ad

mujh se badnam hue shisha-o-jam-o-sahba

kya kahegi mujhe maḳhluq-e-ḳhuda mere ba.ad

fatiha kaun paḌhe qabr ko Thukrate hain

un ko sujhi hai qayamat ki ada mere ba.ad

malak-ul-maut se uljhenge vo ye Dar hai mujhe

dekhiye kis pe chale tegh-e-ada mere ba.ad

be-hijabana uTha dijiye chehre se naqab

aur ab kaun hai mushtaq-laqa mere ba.ad

mere phulon se bhi daman ko bachaya us ne

log samjhe hain taghaful ko haya mere ba.ad

bul-havas ishq ke parde men numudar hue

ab kahan sheva-e-taslim-o-raza mere ba.ad

zab.h ke vaqt bhi qatil ko dua.en di hain

qatre qatre se Tapakti hai vafa mere ba.ad

zulf khole hue aa.e ho saf-e-matam men

ḳhuub sujha amal-e-radd-e-bala mere ba.ad

jaan dete hain shahadat ki tamanna men gharib

lab-e-qatil pe ye jaari hai sada mere ba.ad

kakul-e-saqi-e-kausar ka tasavvur ban kar

qabr par aa.i hai rahmat ki ghaTa mere ba.ad

guftugu raat ye thi hashr bapa kab hoga

baḌh ke ‘rasiḳh’ ne sar-e-bazm kaha mere ba.ad

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Jab Main Uske Ganw Se Bahar Nikla Tha

bashar-nawaz

Ghatti Badhti Raushniyon Ne Mujhe Samjha Nahin

poet

Tum Bhi Ho KHanjar-E-KHushab Bhi Hai

Bhar Jaenge Jab zaKHm to Aaunga Dobara

Tirgi Mein Ek Pal Ka Hi Sahaara Kar Gaya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet