ghar ko virana karen aish ki parva na karen
teri ankhon ka ishara ho to kya kya na karen
dast-e-vahshat ho to kyon baat junun ki jaa.e
jeb-o-daman hain to kyon gul ki tamanna na karen
aap se meri guzarish hai kyon yuun sham-o-sahar
meri ḳhvahish se ziyada mujhe dekha na karen
kaun dekhe chaman-e-dahr men gul ki surat
ham agar dida-e-pur-nam se sanvara na karen
kaise taaza ho tire gesu-e-ḳhamdar ki yaad
ham jo rah-e-rasan-o-dar se guzra na karen
vo bhi kis dil se sunen kushta-e-gham ki rudad
ham bhi kis munh se bayan dard ka afsana karen
Leave a Reply