• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Mahaz-E-Ilm Pe Chhaya Hua Andhera Hai

Mahaz-E-Ilm Pe Chhaya Hua Andhera Hai

poet

mahaz-e-ilm pe chhaya hua andhera hai

ḳhirad ki raah ko divangi ne ghera hai

chaman ki ḳhaak men ibrat ki dastanen hain

sisak rahi hain baharen ḳhizan ka Dera hai

charagh-e-dair-o-haram jal ga.e magar ab bhi

jidhar nigah uThao udhar andhera hai

samundaron pe sitaron pe nazm-e-alam par

na iḳhtiyar tumhara hai aur na mera hai

hazar rang bhari zindagi pe naaz na kar

qadam sambhal ke uTha maut ka andhera hai

ye aate jaate hue ajnabi na samjhenge

gada-nasib bata de kidhar ka phera hai

ye kachchi niind ki ankhen ye surmagin tevar

andheri raat ke daman men bhi savera hai

qadam qadam pe vafa ke diye jala ke chalo

suna hai ‘fazl’ adam men bahut andhera hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

aabid-adeeb

Main Apne Jism Mein Kuchh Is Tarah Se Bikhra Hun

Muskan Labon Par Aankhon Mein Taron Ka Sajaana Mushkil Hai

poet

Aankh Uthai Nahin Wo Samne Sau Bar Hue

akbar-allahabadi

Mazhab Ka Ho Kyunkar Ilm-O-Amal dil Hi Nahin Bhai Ek Taraf

ismail-merathi

Garmi Ka Mausam

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet