ḳhvab-zada viranon tak
pahunchi niind Thikanon tak
avazon ke dariya men
gharq hue ham shanon tak
baagh asasa hai apna
vo bhi zard zamanon tak
bench pe phaili ḳhamoshi
pahunchi peḌ ke kanon tak
ishq-ibadat karte log
jagen roz azanon tak
kirnen milne aati hain
ghar ke raushan-danon tak
zard udasi chha.i hai
kheton se khaliyanon tak
Leave a Reply