• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Hashr Mein Aur Hi Aasar Nazar Aate Hain

Hashr Mein Aur Hi Aasar Nazar Aate Hain

hashr men aur hi asar nazar aate hain

mere haami shah-e-abrar nazar aate hain

dil-e-betab ko ye kah ke sambhala shab-e-gham

Thahar ab sub.h ke asar nazar aate hain

qalb-e-momin ki ajab shaan hai allah allah

sar jhukata huun to anvar nazar aate hain

shab-e-asra na raha ek bhi parda haa.il

saaf haq ke unhen didar nazar aate hain

dast-e-qudrat ne bana.i hai vo surat teri

jis ke kaunain ḳharidar nazar aate hain

chhup nahin sakte hain us parda nashin ke ashiq

ham ne dekhe hain sar-e-dar nazar aate hain

shafe-e-hashr shafa.at pe kamar-basta hai

aaj har samt gunahgar nazar aate hain

faiz-e-saqi se hai mai-ḳhana-e-hasti abad

aaj mai-ḳhvar hi mai-ḳhvar nazar aate hain

apne batin ko na dekha kabhi zahid tu ne

ham to mai-ḳhvar hain mai-ḳhvar nazar aate hain

abr aate hain jo furqat men tiri ai saaqi

surat-e-dida-e-ḳhunbar nazar aate hain

ghuncha-e-dil jo tire hijr men afsurda hai

baagh men phuul mujhe ḳhaar nazar aate hain

maraz-e-ishq ki halat koi ham se puchhe

vo to achchhe hain jo bimar nazar aate hain

haath ḳhali hai magar dil to ghani hai apna

chashm-e-maḳhluq men zardar nazar aate hain

chhuT ja.enge musibat se ab insha-allah

hijr men maut ke asar nazar aate hain

Dagmagate hain qadam rah-e-vafa men mere

marhale ishq ke dushvar nazar aate hain

is qadar mahv rahe hirs-o-hava men ‘rasiḳh’

ab to surat se gunahgar nazar aate hain

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

afzal-ahmad-syed

Faisla

Hum Jo Har Bar KHwab Dekhte Hain

sajida-zaidi

Raat Gahri Hai To Phir Gham Bhi Farawan Honge

poet

Honge Dil-O-Jigar Mein Nishan Dekh Lijiye

sahir-ludhianvi

Jise Tu Qubul Kar Le Wo Ada Kahan Se Laun

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet