• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / KHud Mein Jhanka to Ajab Manzar Nazar Aaya Mujhe

KHud Mein Jhanka to Ajab Manzar Nazar Aaya Mujhe

ḳhud men jhanka to ajab manzar nazar aaya mujhe

apne andar bhi aja.ib ghar nazar aaya mujhe

mujh se us ka ham-safar banna bhi kab dekha gaya

vo bhi apni raah ka patthar nazar aaya mujhe

hadson ne us ke paanv se bhi dharti khinch li

vo bhi sail-e-vaqt ki zad par nazar aaya mujhe

mehrban koi sharik-e-qaid-e-tanha.i na tha

apne zaanu par hi apna sar nazar aaya mujhe

dil se thi ummid ḳhvahish ke safar par saath de

par ye shahin bhi shikasta-par nazar aaya mujhe

ek ik lamhe ne sau sau sho.abde dikhla.e hain

sach to ye hai vaqt jadugar nazar aaya mujhe

itni himmat bhi na thi baḌh kar bula leta ‘riyaz’

yuun to vo bazar men akasr nazar aaya mujhe

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Samajh Raha Tha Main Ye Din Guzarne Wala Nahin

Ek Baja Hai Raat Ka Ab to Sone Do

Wo shaKH-E-Gul Ki Jo Aawaz-E-Andalib Bhi Thi

Dil saKHt niDhaal Ho Gaya Hai

faiz-ahmad-faiz

Falastini Bachche Ke Liye Lori

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet