kashti bhi nahin badli dariya bhi nahin badla
aur Dubne valon ka jazba bhi nahin badla
tasvir nahin badli shisha bhi nahin badla
nazren bhi salamat hain chehra bhi nahin badla
hai shauq-e-safar aisa ik umr se yaron ne
manzil bhi nahin paa.i rasta bhi nahin badla
bekar gaya ban men sona mira sadiyon ka
is shahr men to ab tak sikka bhi nahin badla
be-samt havaon ne har lahr se sazish ki
ḳhvabon ke jazire ka naqsha bhi nahin badla
Leave a Reply