na-munasib hai khafa nalon ko sun kar hona
abhi aaya hi nahin tum ko sitamgar hona
hai sitam ka ye karam aah nahin karte ham
varna asan na tha sabr ka khugar hona
nahin rahti koi rok ahl-e-junun ke aage
koi divar ho shaq ho ke use dar hona
ro pada main bhi pasija jo vo but nalon par
qabil-e-rahm hai insan ka patthar hona
aa ke samjhae vo taskin ka pahlu ham ko
maan lenge dil-e-betab ka patthar hona
gor men dafn kiya jab na ruke zindan men
kis tarah dekhte divanon ka be-ghar hona
qissa-e-tur-o-kalim aap sunate hain fuzul
nahin mumkin jo tajalli ka mukarrar hona
chhod kar daira-e-haq ko na jaae ‘raghib’
kufr hai silsila-e-shaikh se bahar hona
Leave a Reply