• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Karta Hai Qatl-E-Am Wo Aghyar Ke Liye

Karta Hai Qatl-E-Am Wo Aghyar Ke Liye

momin-khan-momin

karta hai qatl-e-am vo aghyar ke liye

das biis roz marte hain do-char ke liye

dekha azab-e-ranj dil-e-zar ke liye

ashiq hue hain vo mire azar ke liye

dil ishq tere nazr kiya jaan kyunki duun

rakkha hai us ko hasrat-e-didar ke liye

qatl us ne jurm-e-sabr-e-jafa par kiya mujhe

ye hi saza thi aise gunahgar ke liye

le tu hi bhej de koi paigham-e-talkh ab

ye tajviz zahr hai tire bimar ke liye

aata nahin hai tu to nishani hi bhej de

taskin-e-iztirab-e-dil-e-zar ke liye

kya dil diya tha is liye main ne tumhen ki tum

ho jaao yuun udu mire aghyar ke liye

chalna to dekhna ki qayamat ne bhi qadam

tarz-e-khiram o shokhi-e-raftar ke liye

ji men hai motiyon ki ladi us ko bhej duun

izhar-e-hal-e-chashm-e-guhar-bar ke liye

deta huun apne lab ko bhi gul-barg se misal

bose jo khvab men tire rukhsar ke liye

jiina ummid-e-vasl pe hijran men sahl tha

marta huun zindagani-e-dushvar ke liye

‘momin’ ko to na laae kahin daam men vo but

dhunde hai tar-e-subha ke zunnar ke liye

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Chali Jo Piya Ki Gali dhire dhire

poet

Kaleja Munh Ko Aaya Aur Nafas Karne Laga Tangi

Nahin Milte Shuur Aansu Bahate

nazeer-akbarabadi

Id

Hui Ek KHwab Se Shadi Meri Tanhai Ki

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet