qadam qadam pe jo apna nishan banate hain
zamin pe chalte hain aur kahkashan banate hain
har ek lamha vo tufan par nazar rakkhen
kanar-e-bahr jo apna makan banate hain
buri nazar na koi sarhadon se paar uThe
ham ab vatan ke liye pasban banate hain
na bu-e-gul na ana ki ramaq mili un men
jo vahshaton ka sada ashiyan banate hain
hamare baad ki naslen banengi kya ‘manzar’
zamin ko baton men ham ashiyan banate hain
Leave a Reply