ab intiha ka tire zikr men asar aaya
ki munh se naam liya dil men tu utar aaya
bahut dinon pe miri chashm men nazar aaya
ai ashk khair to hai tu kidhar kidhar aaya
hazar shukr ki is dil men tu nazar aaya
ye naqsha safha-e-khali pe jald utar aaya
bashar habab ki surat hamen nazar aaya
bhari jo qatre ke andar hava ubhar aaya
zaban pe aata hai naala bhi sau karishmon se
kahan se aap ke andaz ka asar aaya
adam men aish hai chalta huun main bhi le ai dil
jahan men jitne musibat ke din the bhar aaya
likhe ko roiye ab ta-ba-hashr turbat men
ki mere marne pe khat le ke nama-bar aaya
pada hai shab se yuun hi ab talak na li karvat
dil-e-sitam-zada us ki gali se mar aaya
hazar shukr khuda ka yahi ghanimat hai
na khair aaya mire dil ko aur shar aaya
riya to dil men thi mathe pe ab hai us ka nishan
kahan ka daagh kahan dafatan ubhar aaya
muqim-e-dil hai danvan dol rah ke ab iman
buton ke qahr se chhuta khuda ke ghar aaya
hamare pa-e-talab ne badi muhim sar ki
ki kat ke samne qatil ke apna sar aaya
sharab pi ke main pahuncha falak pe ai saaqi
kahan se un kai qatron men ye asar aaya
vo chahe bad kahe qasid buton ko ya mujh ko
haram men chain se iman ja ke dhar aaya
lahad men shana hila kar ye maut kahti hai
le ab to chaunk musafir ki apne ghar aaya
hazar shukr hua aftab-e-hashr tulu
badi to laaj rahi ye ki tu nazar aaya
gavahiyan huiin aaza ki hashr men maqbul
vo paak ho gae ilzam mere sar aaya
hujum-e-gham ne sikhane ki laakh koshish ki
hamen to aah bhi karna na umr bhar aaya
jo chand din men hue zi-kamal kaun hain ‘shad’
hamen to sher ka kahna na umr bhar aaya
usi ko sher samajhte hain ‘shad’ ahl-e-mazaq
udhar padha ki dilon men idhar utar aaya
Leave a Reply