
Yasmin Husaini Zaidi Nikhat
behal dil ka haal karun to ghazal kahun
jiine ka phir malal karun to ghazal kahun
dil to misal-e-sang hai TuTega kya bhala
ḳhasta-jigar ka haal karun to ghazal kahun
ye rang chaar roza hai ra.ana.i chaar roz
jo husn la-zaval karun to ghazal kahun
hai lutf is miyana-ravi men bhala kahan
kuchh amr ba-kamal karun to ghazal kahun
mausam na sard garm na tufan ka zor hai
ab ḳhud hi kuchh vabal karun to ghazal kahun
muddat hui habib se shikva kiye hue
ab us se kuchh saval karun to ghazal kahun
hain is jahan men achchhe suḳhnavar hazar-ha
‘nik.hat’ ko be-misal karun to ghazal kahun

Leave a Reply