• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Na Koi Mehrban Apna Na Koi Raaz-Dan Apna

Na Koi Mehrban Apna Na Koi Raaz-Dan Apna

na koi mehrban apna na koi raz-dan apna

jise samjhe the apna dil vo dil bhi ab kahan apna

jo ho chashm-e-karam teri jo ho tu mehrban apna

zamin apni falak apna makin apne makan apna

vo le kar aa.ina baiThe the lene imtihan apna

kiya hathon se apne daman-e-dil dhajjiyan apna

bhaTakte phir rahe hain justuju-e-yar men ab tak

kahin Tikne nahin deta hamen vahm-o-guman apna

javani men kise neki badi ka hosh hota hai

javani men nahin kuchh sujhta sud-o-ziyan apna

zamane ne vo karvaT miri duniya badal Daali

na ab hai raz-dan koi na koi mehrban apna

kisi ko yaad ham aate nahin is anjuman men ab

ba-hamdillah zikr-e-ḳhair rahta tha jahan apna

vo gul hain ham gulistan se uḌe yuun bu-e-gul ban kar

na DhunDe se mila gulchin ko phir nam-o-nishan apna

maza ustad ke sheron ka ham ko ‘shad’ aata hai

vo hai tarz-e-suḳhan apni vo hai rang-e-bayan apna

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Sada-E-Mehr-O-Mohabbat Lagane Aae Hain

wajid-ali-shah-akhtar

Pada Hai Panw Mein Ab Silsila Mohabbat Ka

poet

Kaif-E-Safar Ab Apna Hasil

akhtar-ansari

Aarzu Ko Ruh Mein Gham Ban Ke Rahna Aa Gaya

poet

Aisa Dikha Hai Hum Ko Nazara Kai Dafa

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet