na koi aarzu jis men ho vo ujḌa hua dil huun
gharaz be-kar huun ik dam jala dene ke qabil huun
tujhe ulfat adu ki hai adu ko teri ulfat hai
na ab tu mere qabil hai na ab main tere qabil huun
mujhe asan na samjho apni chaukhaT se uTha dena
baḌi mushkil se jo Talti hai ai jaan main vo mushkil huun
siyah-baḳhti men bhi main ne vo rang apna jamaya hai
kisi ki aankh men kajal kisi ke gaal par til huun
adu par zulm dhate ho na us ko qatl karte ho
usi par hai tumhen da.ava ki zalim huun main qatil huun
halavat se adu ko aur mujhe talḳhi se farmaya
tumhen qand-e-mukarrar hon tumhen zahr-e-halahil huun
nahin mumkin tamanna-e-mulaqat un se bar aa.e
ki vo anjan hain ai hazrat-e-‘sabir’ main an-mil huun
Leave a Reply