na jaane rauzan-e-divar kya jaadu jagata hai
talattuf se sambhalta hai qadam ya Dagmagata hai
ye tamhid-e-nigah-e-shauq hai do-atisha ai dil
is aalam men ik aalam aur a.ina dikhata hai
kahan ka ishq lekin ye mujhe mahsus hota hai
ki mera haath dosh-e-naznin par thartharata hai
kahan pahle tha ye mausam hai sab tarz-e-ḳhiram us ka
havaon men gulabi baagh men ḳhushbu uḌata hai
mizajon ki ham-ahangi bhi aksar shaaq hoti hai
ugalti hain mashinen aag suraj muskurata hai
tuyur-e-zamzama-pardaz ki pahchan hoti hai
vo taa.ir kya jo avazon se avazen milata hai
usi par jaan dete hain jise be-mehr kahte hain
jo ham ko bhuul jaata hai vo aksar yaad aata hai
Leave a Reply