aankh men ashk liye khaak liye daman men
ek divana nazar aata hai kab se ban men
mere ghar ke bhi dar-o-bam kabhi jagenge
dhuup niklegi kabhi to mire bhi angan men
kahiye aina-e-sad-fasl-e-baharan tujh ko
kitne phulon ki mahak hai tire pairahan men
shab-e-tarik mira rasta kya rokegi
mire anchal men sitare hain sahar daman men
kin shahidon ke lahu ke ye farozan hain charagh
raushni si jo hai zindan ke har ik rauzan men
ahd-e-rafta ki tamanna ka fusun zinda hai
dil-e-nakam abhi tak tiri har dhadkan men
hamen manzur nahin agli ravayat-e-junun
ba-khirad ho gai ‘gulnar’ divana-pan men
Leave a Reply