diya jab dil to dilbar ka gila kya
sitam-parvar karam na-ashna kya
na puchhen puchhne vaale hua kya
ye dekhen us ne dil le kar kiya kya
duhai hai shab-e-hijran duhai
qayamat ki sahar ka aasra kya
kahan tak saath de zauq-e-nazara
tire jalvon ka mera samna kya
rahi mashq-e-sitam dil par yuun hi gar
tumhara hi mitega ghar mira kya
yahi do-char tinke ashiyan ke
mila sayyad ko is ke siva kya
bata do vaqiat-e-tur kuchh to
kalim-ullah guzra majra kya
qafas jaane se pahle tha chaman men
nasheman baghban mera hua kya
unhen dil de diya nadida ‘afqar’
hijab-o-ghamza-o-naz-o-ada kya
Leave a Reply