na hoti hal-e-dil kahne ki gar himmat to achchha tha
na sunet kaash vo sharh-e-gham-e-ulfat to achchha tha
miri betabi-e-dil badh gai hai al-aman kitni
nikalti gar na shauq-e-did ki hasrat to achchha tha
vo rahat-be-ziyan sabit hui kitni hubab-asa
kabhi hota na itmam-e-shab-e-furqat to achchha tha
hua kyuun iltifat un ka badha kyuun hausla mera
nihan phulon men rahti aah gar nikhat to achchha tha
tamanna hai fuzun hon shorishen jazb-e-mohabbat ki
dil-e-muztar ki badhti aur bhi vahshat to achchha tha
rahen gham ki sharar-angeziyan ya-rab qayamat tak
‘haya’ gham se na milti gar kabhi fursat to achchha tha
Leave a Reply