koi shisha na dar salamat hai
ghar mira dasht ki amanat hai
saare jazbon ke bandh TuuT ga.e
us ne bas ye kaha ijazat hai
jaan kar fasle se milna bhi
ashna.i ki ik alamat hai
us se har rasm-o-rah toḌ to di
dil ko lekin bahut nadamat hai
ru-ba-ru us ke ek shab jo hue
ham ne jaana ki kya inayat hai
do qadam saath chal ke jaan liya
kya safar aur kya masafat hai
kal siyasat men bhi mohabbat thi
ab mohabbat men bhi siyasat hai
raat palkon pe dil dhaḌakta tha
tera va.ada bhi kya qayamat hai
Leave a Reply