na jaane kab se main gard-e-safar ki qaid men tha
ki sang-e-mil tha aur rah-guzar ki qaid men tha
dikha.i deta tha muḳhtar dast-o-bazu se
magar vo shaḳhs kisi be-hunar ki qaid men tha
main ḳhvab ḳhvab tha har jashn-e-arzu ka asiir
khuli jo aankh to apne hi ghar ki qaid men tha
khuli faza.en milin jab to ai hava-e-chaman
main be-baza.ati-e-bal-o-par ki qaid men tha
main ḳhush huun yuun ki abhi tak tiri nazar men nahin
vo ashk-e-ḳhun jo miri chashm-e-tar ki qaid men tha
na kar saka kisi manzil ka ehtiram ki main
junun-e-shauq ka maara safar ki qaid men tha
main uḌ raha tha fazaon ki vus.aton men magar
mira vajud abhi bam-o-dar ki qaid men tha
kiya tha raat tasavvur men jis ne qasd-e-farar
vo sub.h pa-ba-girafta sahar ki qaid men tha
Leave a Reply