• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Na Intizar Mein Yan Aankh Ek Aan Lagi

Na Intizar Mein Yan Aankh Ek Aan Lagi

momin-khan-momin

na intizar men yaan aankh ek aan lagi

na haae haae men taalu se shab zaban lagi

jala jigar tap-e-gham se phadakne jaan lagi

ilahi khair ki ab aag paas aan lagi

gali men us ki na phir aate ham to kya karte

tabiat apni na jannat ke darmiyan lagi

jafa-e-ghair ka shikva tha tera tha kya zikr

abas ye baat buri tujh ko bad-guman lagi

hanso na tum to mire haal par main huun vo zalil

ki jis ki zillat-o-khvari se tum ko shaan lagi

kahan vo ah-o-fughan dam bhi le nahin sakte

hamen ye teri dua-e-bad asman lagi

main aur us ko bulaunga roz-e-vasl men lo

ajal bhi karne mohabbat ka imtihan lagi

ba-rang-e-surat-e-bulbul nahin nava-sanji

ye kya hua ki chup ai gulsitan bayan lagi

sada tumhari taraf ji laga hi rahta hai

tumhare vaste hai dil ko mehrban lagi

vo kina-tuz tha ‘momin’ to dil lagaya kyuun

kaho to kya tumhen aisi bhali vo aan lagi

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Mata-E-Shauq to Hai Dard-E-Rozgar to Hai

Magar in Aankhon Mein Kis Subh Ke Hawale The

noor-jahan-sarwat

Kaun Tanhai Ka Ehsas dilata Hai Mujhe

abdul-ahad-saaz

Na Maqamat Na Tartib-e-Zamani Apni

poet

Suraj Sitare Chand Jo Barbaad Ho Gae

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet