na intishār kā ḳhatra na inhidām kā hai
ye marhala to tabāhī ke iḳhtitām kā hai
jo ḳhatm ho gayā rishta vo dostī kā thā
jo bach gayā hai ta.alluq vo intiqām kā hai
har ek lamha ajab ḳhauf be-panāhī kā
hamāre ahd meñ ye rañg sub.h-o-shām kā hai
bachā.eñ kis tarah balvā.iyoñ se bastī ko
muhāfizoñ kā irāda bhī qatl-e-ām kā hai
ye buzdilī hai ki bote haiñ phuul un ke liye
vo jin ke haath meñ ḳhanjar hamāre naam kā hai
safar hai dasht kā aur raat ho ga.ī aalam
hamāre sāmne ab mas.ala qayām kā hai