na hotā dahr se jo be-niyāz kyā kartā
khulā thā mujh pe kuchh aisā hī raaz kyā kartā
marīz kashmakash-e-jabr-o-iḳhtiyār meñ thā
ilāj-e-jazb-o-kashish chāra-sāz kyā kartā
tire karam ne to duniyā hī sauñp dī thī mujhe
bachā ke kuchh na rakhā hirs-o-āz kyā kartā
bigaḌ gayā mirā huliya to barhamī kaisī
the rahguzar meñ nasheb-o-farāz kyā kartā
mujhe ḳhabar thī ki maiñ bhī tire sabab se huuñ
phir apnī zaat pe maiñ faḳhr-o-nāz kyā kartā
tamām umr rahe pahre-dār kāñdhoñ par
tire ḳhilāf ai ‘anjum’-navāz kyā kartā