na hai us ko mujh se ghaflat na vo zimmedar kam hai
pa alag hai us ki fitrat vo vafa-shi.ar kam hai
miri hasraten miTengi mire ḳhvab honge puure
mujhe apne is yaqin par zara e’tibar kam hai
na baḌha.e aur duuri koi aane vaala mausam
chalo fasle miTa len ki abhi darar kam hai
ye tum hi pe munhasir hai ki tum aao ya na aao
main bhala ye kaise kah duun mujhe intizar kam hai
yahi chahte the ham bhi ki na raz-e-dil ayaan ho
magar apne ansuon par hamen iḳhtiyar kam hai
vo uTha tha ek tufan jo macha gaya tabahi
abhi andhiyan thami hain to abhi ghubar kam hai
kahin kho ga.e tasavvur jo bikhar gaya taḳhayyul
to ‘shifa’ ye kaise kah de ki vo be-qarar kam hai
Leave a Reply