na de saaqi mujhe kuchh gham nahin hai
ye kulhaḌ koi jam-e-jam nahin hai
vo ru-e-ḳhashmgin kuchh kam nahin hai
na ho gar haath men ballam nahin hai
bas ik bahr-e-bani-adam nahin hai
jahan men varna gehun kam nahin hai
naqab ulTi hai ye kah kar kisi ne
ki ab to koi na-mahram nahin hai
hazaron chahne vaale hain un ke
kam un ki aaj kal income nahin hai
jasamat kah rahi hai ye kisi ki
koi shai aur juz balgham nahin hai
mudava kya ho hirs-e-rahbar ka
kahin is zaḳhm ka marham nahin hai
bane to saikḌon aa.iin lekin
kisi aa.iin men kuchh dam nahin hai
kahan rahbar men jauhar rahbari ke
ki paani hi to hai zamzam nahin hai
hamari jur.aton ki daad deta
magar ab kya karen rustam nahin hai
ada.en kuchh to un men aaj ki hain
magar puura abhi koram nahin hai
likha hai bazm-e-ishrat men jo har-su
naved-e-gham hai vo welcome nahin hai
siva.e makr-o-kaid o hirs o fitrat
mohabbat ka yahan system nahin hai
mohabbat men tasanno ho to samjho
vo launDi hai koi begam nahin hai
jise samjhi hai sada-lauh duniya
hai behad ka.iyan budam nahin hai
nazar aate hain jo qatre gulon par
kisi ki raal hai shabnam nahin hai
zamin o asman larzan hain jis se
mire naale hain atom-bomb nahin hai
nazar aata nahin vo ru-e-rangin
kahin bazar men shaljam nahin hai
kahan aurat nahin hai sar-barahna
kahan ab parde ka matam nahin hai
fareb-e-hazrat-e-va.iz na puchho
ibarat saaf hai mub.ham nahin hai
chura len jis ko duzdida nigahen
ye dil vo dilruba ḳhanam nahin hai
Leave a Reply