• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Na dare Barq Se dil Ki Hai Kadi Meri Aankh

Na dare Barq Se dil Ki Hai Kadi Meri Aankh

taashshuq-lakhnavi

na dare barq se dil ki hai kadi meri aankh

us ki zanjir-e-talai se ladi meri aankh

apne bimar ko rakhti hai chhupa kar tah-e-khak

kahte hain sahab-e-ghairat hai badi meri aankh

khaak men mil ke ayaan huun gul-e-nargis ban kar

dekh le gar tiri phulon ki chhadi meri aankh

is tarah zabh kiya tegh-e-nigah se mujh ko

khud vo kahte hain ki zalim hai badi meri aankh

dil men hai kuchh asar-e-josh-e-mohabbat ab tak

tar hui dekh ke savan ki jhadi meri aankh

hasrat-e-did men pathra ke bani sang-e-dar

na hati phir tire dar par jo adi meri aankh

raat bhar ashk ke danon pe gina karti hai

furqat-e-yar men ek ek ghadi meri aankh

dil ke tukde miri palkon men jo dekha to kaha

janti thi inhen phulon ki chhadi meri aankh

rakh liye pesh-e-hubab-e-lab-e-ju munh par haath

nazar aai unhen dariya men padi meri aankh

daud kar mujh se gale mil gae milte hi nazar

dil ki taqdir ladi ya ki ladi meri aankh

ai shab-e-vasl na maalum ye kya kar gai tu

band hoti nahin ab koi ghadi meri aankh

kahte hain aankh ladate hi tu patthar ban jaae

hai tira dil to bahut narm kadi meri aankh

yad-e-khal-e-rukh-e-janan ki madad se naseh

shab furqat ke sitaron se ladi meri aankh

ho gai fart-e-nazakat se haya ki shohrat

aa gaya un ko pasina jo ladi meri aankh

hai jo ashkon men udahat to na ghabra ai dil

roi hai dekh ke missi ki dhadi meri aankh

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

aisha-ayyub

Hum Is Jahan Mein Aae To Sath Lae din

firaq-gorakhpuri

Chadhti Hui Naddi Hai Ki Lahraati Hai

Bach-Bacha Kar Jab Kaha Tarif Main Kam paD Gaya

abdul-hamid-adam

din Guzar Jaenge Sarkar Koi Baat Nahin

ahsan-lakhnavi

Ilaj-e-Hasrat-e-dil-Gir Kar Raha Hun Main

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet