na-ashna-e-dard nahin bevafa nahin
ik ashna ki haa.e mira ashna nahin
la.un jo dil ki baat zaban par to kis liye
main janta nahin huun ki tu janta nahin
jalta raha huun ziist ke dozaḳh men umr bhar
ye aur baat hai miri koi ḳhata nahin
ik saghar-e-hayat ki ḳhatir tamam umr
vo kaun sa hai zahr jo main ne piya nahin
shayad darud-e-fasl-e-baharan qarib hai
ahl-e-junun ne chak-e-gareban siya nahin
husn-e-urus-e-gul ki jamal-e-saman-baran
duniya men kuchh bhi zauq-e-nazar ke siva nahin
tere harim-e-naz ki us ko ḳhabar ho kya
jo sarhad-e-ḳhayal se aage gaya nahin
‘rif.at’ jahan men rasm-e-vafa hi nahin rahi
un se to kya kisi se bhi mujh ko gila nahin
Leave a Reply