ab ghair se bhi teri mulaqat rah ga.i
sach hai ki vaqt jaata raha baat rah ga.i
teri sifat se na raha kaam kuchh mujhe
bas teri sirf dosti bizzat rah ga.i
kahne laga vo haal mira sun ke raat ko
sab qisse ja chuke ye ḳhurafat rah ga.i
din intizar ka to kaTa jis tarah kaTa
lekin kaso tarah na kaTi raat rah ga.i
bas naqd-e-jan hi sirf ‘asar’ ne kiya nisar
gham ki tire sab aur mudarat rah ga.i
Leave a Reply