na-ashna-e-dard-e-dil-e-be-qarar log
kya janen abru-e-gham-e-intizar log
taskin-e-dil ke vaste hote na ḳhaar log
ai kaash jante tire gham ka vaqar log
nazren bacha ke chalte hain begana-var log
ik pal men bhuul jaate hain barson ka pyaar log
in ke dilon men ab vo mohabbat nahin rahi
kitna badal ga.e hain ilahi ye yaar log
barson ki rasm-o-rah ka toḌen na yuun bharam
yuun be-ta.alluqi na karen iḳhtiyar log
har ik suḳhan hai tanz ka pahlu liye hue
badle ye kab ke lene lage mujh se yaar log
un ki tasalliyan na kisi kaam aa sakin
mujh ko bacha sake na mire gham-gusar log
ham ne kiya jo jaur-e-musalsal ka shukriya
apne kiye pe aap hue sharm-sar log
ik bevafa ki yaad se uljha hua hai dil
chhoḌen na aaj zikr-e-gham-e-rozgar log
aa.egi jab kabhi unhen ‘asi’ hamari yaad
ro.enge phuuT phuuT ke divana-var log
Leave a Reply