basant aai hai mauj-e-rang-e-gul hai josh-e-sahba hai
khuda ke fazl se aish-o-tarab ki ab kami kya hai
bayan main kya karun us ke shabistan ka ta’al-allah
qaza-o-qadr jis ke jashn ka ab kar-farma hai
sakhavat men koi ham-sar na ho us ka zamanae men
vahi karta hai puura jis ke dil men jo irada hai
khizar ki umr ho us ki tasadduq se aimma ke
nizam-ud-daula asaf-jah jo sab ka masiha hai
bahi-khvan-e-karam se hai sada ummid ‘chanda’ ko
kisi ki bhi na ho muhtaj tum se ye tamanna hai
Leave a Reply