ashiyan apna bina divar-o-dar hota nahin
be-muravvat kaash ye tera shahar hota nahin
kyuun pasheman ho ke tum ne dard-e-dil mujh ko diya
har gunah sangin aisa jaan kar hota nahin
aap ka tha saath to thi zindagi par kya kahen
ab safar aisa hai jis men ham-safar hota nahin
hai ghazab Dhata ajab ye kar-o-bar-e-intizar
raat guzre taare gin, par din basar hota nahin
aa.e hain sunte ki aisa vaqt bhi aata hai jab
ho dava ya phir dua kuchh kargar hota nahin
duniya se laḌ ja.iye asan hai kahna huzur
dekhiye har shaḳhs men itna jigar hota nahin
Leave a Reply