na ai dil surat-e-shaiḳh-e-haram divana ban jaana
kahin aana na jaana za.er-e-but-ḳhana ban jaana
tumhari dida-e-maḳhmur ko ye ḳhuub aata hai
kabhi shisha kabhi saghar kabhi paimana ban jaana
ajab aalam hai mad-hosh ka teri josh-e-masti men
kabhi divana ban jaana kabhi mastana ban jaana
dil-e-sozan dikhana jalva husn-o-ishq donon ka
kahin sham-e-shabistan aur kahin parvana ban jaana
ye thi talqin-e-saqi vaqt-e-ruḳhsat apni maston ko
kahin divana ban jaana kahin farzana ban jaana
usi men kuchh mafar apna nazar aaya hasinon ko
ki ja kar der men chupke but-e-but-ḳhana ban jaana
karishme hain ye saare jalva-e-husn-e-haqiqi ke
kahin ashiq kahin andaz-e-mashuqana ban jaana
nava-e-raz saz-e-ishq be-ḳhud kyuun na kar Daale
ki har parde se aati hai sada divana ban jaana
yahi ibrat-sara-e-dahr ka har roz naqsha hai
kahin kashana ho jaana kahin virana ban jaana
ḳhabar kis ko thi yuun aalam men rusva.i miri hogi
ki unvan-e-mohabbat ko bhi tha afsana na ban jaana
ye aalam beḳhudi-e-ishq ka ai ‘shauq’ kya kahiye
tasavvur men kisi ke aap se begana ban jaana
Leave a Reply