na ab raqib na naseh na gham-gusar koi
tum ashna the to thiin ashnaiyan kya kya
juda the ham to mayassar thiin qurbaten kitni
baham hue to padi hain judaiyan kya kya
pahunch ke dar pe tire kitne mo’tabar thahre
agarche rah men huiin jag-hansaiyan kya kya
ham aise sada-dilon ki niyaz-mandi se
buton ne ki hain jahan men khudaiyan kya kya
sitam pe khush kabhi lutf-o-karam se ranjida
sikhain tum ne hamen kaj-adaiyan kya kya
Leave a Reply