chup khaḌa hai asman
kya ḳhuda hai asman
log so chuke magar
jagta hai asman
rahna hai zamin par
sochna hai asman
jo bhi kar rahe hain ham
dekhta hai asman
tujh se mil ke yuun laga
chhu liya hai asman
kaun is zamin par
rakh gaya hai asman
roz ik na.i zamin
ik naya hai asman
shahar ka makin bhi
DhunDhta hai asman
mere vaste koi
ban gaya hai asman
jaane kis ke sog men
ro raha hai asman
Leave a Reply