na aaya kar ke vaada vasl ka iqrar tha kya tha
kisi ke bas men tha majbur tha lachar tha kya tha
bura ho bad-gumani ka vo naama ghair ka samjha
hamare haath men to parcha-e-akhbar tha kya tha
sada sunte hi goya murdani si chha gai mujh par
ye shor-e-sur tha ya vasl ka inkar tha kya tha
khuda ka dost hai taamir-e-dil jo shakhs karta ho
khalilullah bhi kaaba ka ik meamar tha kya tha
na aae tum na aao main ne kya kuchh minnaten ki thiin
tumhin ne khud kiya tha ahd ye iqrar tha kya tha
hava men jab uda parda to ik bijli si kaundi thi
khuda jaane tumhara partav-e-rukhsar tha kya tha
mila tu ham se mahfil men jo shab ko ghair kyuun bigda
tira hakim tha theka-dar tha mukhtar tha kya tha
miri mayyat pe matam karte ho allah-re chalaki
khabar hai khud tumhen muddat se main bimar tha kya tha
hazaron hasraten betab thiin bahar nikalne ko
vo sote men bhi ‘parvin’ fitna-e-bedar tha kya tha
Leave a Reply