muztarib hain vaqt ke zarrat suraj se kaho
aa gai kyuun aag ki barsat suraj se kaho
ham hain aur shoalon ki lapten badh rahi hain har taraf
kya hui vo chhanv ki ik baat suraj se kaho
nachte hain ye bhayanak saae akhir kis liye
zer-e-lab kya kah rahi hai raat suraj se kaho
ek tapta dasht hai aur saath koi bhi nahin
kis safar men hai akeli zaat suraj se kaho
rengte hain naag andeshon ke sanson men yahan
dhalne men aati nahin hai raat suraj se kaho
zoam hone ka raha ik umr ham ko aur aaj
jal gae sab dhuup men jazbat suraj se kaho
Leave a Reply