• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Muskurahaten Sikhen Qahr Ki Nigahon Se

Muskurahaten Sikhen Qahr Ki Nigahon Se

najm-aafandi

muskurahaten sikhen qahr ki nigahon se

dad-e-sarkashi le li ham ne kaj-kulahon se

kya kahen mohabbat ka raaz kam-nigahon se

ham ne dil banae hain ansuon se aahon se

apni maarifat ka ham ek din sabaq denge

dekhte chale jaao ajnabi nigahon se

us ke haq ka mujrim huun phir bhi us ki rahmat hai

khud bacha liya mujh ko mubtazil gunahon se

farsh par hai takht un ka arsh par dimagh apna

kya faqir rahte hain dab ke badshahon se

saare masale hal hain maslak-e-mohabbat men

un ki raah milti hai be-shumar rahon se

‘najm’ ye nishani hai ahl-e-dil ki duniya men

ham ko khaas nisbat hai gham ki bargahon se

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Zindagi Tujhse bichhaD Kar Main Jiya Ek Baras

Aisa Hai Kaun Jo Mujhe Haq Tak Rasai De

poet

Har-Waqt Ulajhta Hai Ye Dil Zulf-E-Dota Mein

Hum Apni Suraton Se Mumasil Nahin Rahe

Piri Se Mera Nau Digar-Haal Hua Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet