kahan kisi ko hosh tha kahan kisi men taab thi
tiri nazar se anjuman ki anjuman ḳharab thi
ada ada bahar thi nazar nazar sharab thi
kisi ki garmi-e-shabab garmi-e-shabab thi
kisi ko is ka ilm kya kisi ko is ki kya ḳhabar
ki meri zindagi bhi ek zindagi ka ḳhvab thi
baḌe qalaq ki baat hai ki tum na us ko paḌh sake
hamari zindagi to ik khuli hui kitab thi
vo sab kahaniyan to thiin mire hi dil ki bazm men
tumhari chashm-e-surmagin na jaane kyon pur-ab thi
hayat-e-ba-murad par ye tabsire baja sahi
magar vo zindagi ki jis ki har talab sarab thi
Leave a Reply