kya dekhte ho raah men ruk kar yahan vahan
hai qatl-o-ḳhun ka ek sa manzar yahan vahan
zer-e-nagin usi ke sabhi qarya-o-dayar
us ke hi sab hain ḳhema-o-lashkar yahan vahan
hai darmiyan-e-ḳhanjar-o-sar fasle ka farq
varna saron pe hai vahi ḳhanjar yahan vahan
shishe ke sab makan hain shikasta idhar udhar
bikhre paḌe hain shahr men patthar yahan vahan
mahfuz rah gaya na koi rasta na moḌ
jaaya karo na ghar se nikal kar yahan vahan
lagta hai ab ulaTne ko hai ye bisat-e-shab
sargoshiyan yahi hain barabar yahan vahan
‘mohsin’ ajiib habs ka aalam hai aur main
koi daricha hai na koi dar yahan vahan
Leave a Reply