musalsal hans raha huun ga raha huun
tiri yadon se dil bahla raha huun
tiri yadon ki belen jal ga.iin sab
main phulon ki tarah murjha raha huun
ai meri vahshato sahra ki janib
mujhe avaz do main aa raha huun
kinare meri janib baḌh rahe hain
magar main huun ki Duuba ja raha huun
yahan jhuTon ke tamghe mil rahe hain
main sachcha huun to parkha ja raha huun
Leave a Reply