hava-e-tez men itna jala bujha huun main
shab-e-siyah se kah do ki thak gaya huun main
mujhe tumhari mohabbat abhi qubul nahin
ka.i udaas se chehron ka aasra huun main
tiri gali ke siva aur dekha bhi kya hai
ki tere shahr men ab bhi naya naya huun main
jo mas.ala tha udasi ka meri zaat ka tha
mujhe laga tha mohabbat men gham-zada huun main
kisi ne mujh ko bataya abhi abhi aa kar
tumhare dar pe baḌi der se khaḌa huun main
ajiib hai ki tumhen phir bhi ishq hai mujh se
suna to tum ne bhi hoga ki bevafa huun main
mujhe ye zindagi ab jaane bhi nahin degi
use ye kis ne bataya ki mar raha huun main
Leave a Reply