• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kisi Ki Aankh Khaali Ho Gai Thi

Kisi Ki Aankh Khaali Ho Gai Thi

poet

kisi ki aankh khali ho gai thi

mohabbat itni mahngi ho gai thi

tujhe jaate samay itna pukara

miri avaz zakhmi ho gai thi

zara sa muskura ke us ne dekha

faza saari gulabi ho gai thi

vo jis din rasta badla tha tu ne

miri har raah khoti ho gai thi

use raaja nahin mil paaya to phir

vo khud hi apni raani ho gai thi

hamare haath niche gir gae the

tiri divar unchi ho gai thi

adhure khvab se pichha chhudaya

mujhe ab niind pyari ho gai thi

use janma tha main ne dukh utha ke

parai kaise beti ho gai thi

tumhari raah takte thak gai jab

vo kaali aankh niili ho gai thi

Filed Under: Ghazal Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Bazm-E-KHuban Se uThe Dar-O-Rasan Tak Pahunche

Jab Koi Mehrban Nahin Hota

Tujhko Dekh Raha Hun Main

gulnar-aafreen

Shajar-E-Ummid Bhi Jal Gaya Wo Wafa Ki Shakh Bhi Jal Gai

abdullah-javed

Chamka Jo Chand Raat Ka Chehra Nikhar Gaya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet