yaqin kaun karega guman pe aaya huun
main apne aap se chhup kar yahan pe aaya huun
mujhe bhi aql pareshan karti rahti hai
nahin nahin se guzar kar main haan pe aaya huun
mujhe vo dekh ke hairan kyuun nahin hoga
zamin odh ke main asman pe aaya huun
ye baat tu hi bata kis tarah bataun tujhe
main dil ke raste teri zaban pe aaya huun
na jaane kab se nahin mil saka huun main khud se
main khud se milne tire astan pe aaya huun
ye iztirab haqiqat men iztirab nahin
khushi khushi main is ah-o-fughan pe aaya huun
mujhe talash na kar tu yahan vahan ‘momin’
nazar utha ki tire khvab-dan pe aaya huun
Leave a Reply