khauf-o-vahshat bar-sar-e-bazar rakh jaata hai kaun
yuun rag-e-ehsas par talvar rakh jaata hai kaun
kyuun vo milne se gurezan is qadar hone lage
mere un ke darmiyan divar rakh jaata hai kaun
mimbar-o-mehrab se atish-fishan hote to hain
vaqt ki dahliz par dastar rakh jaata hai kaun
bas khuda ghafil nahin hai varna is manjdhar men
meri kashti ke liye patvar rakh jaata hai kaun
ye mira zauq-e-safar hai varna aisi dhuup men
har qadam par ik shajar chhitnar rakh jaata hai kaun
dil badi nazuk si shai hai un se itna puchhiye
tuute shishon ka yahan ambar rakh jaata hai kaun
tirgi apna muqaddar likh chuki phir bhi ‘tapish’
aaine men ik ghalat pindar rakh jaata hai kaun
Leave a Reply