musalsal ashk-bari kar raha tha
main apni abiyari kar raha tha
mujhe vo ḳhvab phir se dekhna tha
main ḳhud pe niind taari kar raha tha
ka.i din tak tha meri dastaras men
main ab dariya ko jaari kar raha tha
mujhe ruk ruk ke panchhi dekhte the
main patthar par savari kar raha tha
guzarna tha bahut mushkil udhar se
daricha chand-mari kar raha tha
koi atom tha mere jism-o-jan men
main jis ki tab-kari kar raha tha
safine sab ke sab gharqab kar ke
samundar ah-o-zari kar raha tha
mujhe fitrat bhi ghisti ja rahi thi
main ḳhud bhi reg-mari kar raha tha
meri duty thi ḳhemon ki hifazat
magar main ab-dari kar raha tha
sitare TimTimana ruk ga.e the
main phir aḳhtar-shumari kar raha tha
mujhe bhiḌna tha kis vahshi se lekin
main kis pagal se yaari kar raha tha
bahut se kaam karne the ‘liyaqat’
jinhen main baari baari kar raha tha
Leave a Reply