ik diya aisa bujha hai mujh men
nauhagar! ab ke hava hai mujh men
aks-dar-aks bikharna hai mujhe
jaane kya TuuT gaya hai mujh men
na koi ḳhvab, na aansu na ḳhayal
kya ajab qaht paḌa hai mujh men
chashm hairan hai, sar-e-a.ina
runuma kaun hua hai mujh men
dil sulagne ka sabab hijr, na vasl
mas.ala is se siva hai mujh men
munkashif! aaj talak ho na saka
main ḳhala huun ki ḳhala hai mujh men
Leave a Reply