musahibat ka koi silsila nahin hai kya
kisi bhi shaḳhs se ab rabta nahin hai kya
hazar logon se puchha sabhi hain na-vaqif
yahan bhi tujh ko koi janta nahin hai kya
tamam rishte faramosh kar diye tu ne
ta.alluqat se ab fa.eda nahin hai kya
amir-e-shahr se hai maslahat baja lekin
hai baat sach to kaho hausla nahin hai kya
zaban main ne jo kholi to sab hain shashdar kyuun
tire ḳhilaf koi bolta nahin hai kya
muamalat men sab taaq par rakhenge usuul
ḳhuda ke bande tujhe kuchh pata nahin hai kya
Leave a Reply