muqaddas pattharon par mudda.a raushan na hone ka
kahan sar phoḌiye ab mo.ajaza raushan na hone ka
bhaTakta phir raha huun nafs ke andhe jazire men
suna hai apne hisse ka ḳhuda raushan na hone ka
sarayat kar ga.iin iman ki ḳhush-fahmiyan ḳhuun men
darun-e-qalb koi vasvasa raushan na hone ka
mire talvon pe masnad ho ga.e kanTe bayaban ke
dil-e-vahshat-zada men aabla raushan na hone ka
main us ki pahli barish ban ke pi ja.unga chupke se
nahin to is zamin ka za.iqa raushan na hone ka
Leave a Reply