zulf-e-barham sambhal kar chaliye
rasta dekh-bhal kar chaliye
mausam-e-gul hai apni banhon ko
meri banhon men daal kar chaliye
mai-kade men na baithiye taham
kuchh tabiat bahal kar chaliye
kuchh na denge to kya ziyan hoga
harj kya hai saval kar chaliye
hai agar qatl-e-am ki niyyat
jism ki chhab nikal kar chaliye
kisi nazuk-badan se takra kar
koi kasb-e-kamal kar chaliye
ya dupatta na lijiye sar par
ya dupatta sambhal kar chaliye
yaar dozakh men hain muqim ‘adam’
khuld se intiqal kar chaliye