• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Dariya-E-Mohabbat Mein Maujen Hain Na Dhaara Hai

Dariya-E-Mohabbat Mein Maujen Hain Na Dhaara Hai

dariya-e-mohabbat men maujen hain na dhara hai

yuun shauq-e-maratib ne pasti men utara hai

is shahar-e-taghaful men ham kis ko kahen apna

vo shahr jo duniya men kahne ko hamara hai

a.ankhon men kabhi the ab, hathon men hain bachchon ke

suraj hai ki chanda hai, jugnu hai ki taara hai

vo husn-e-mujassam jab guzra hai chaman se tab

ḳhud apna sarapa bhi phulon ne sanvara hai

aa jaate ho kyuun aḳhir yuun ḳhvab na.e le kar

is shahr-e-tazabzub men kya hai jo tumhara hai

mar.ub huiin qadren jab apni yahan, ham ne

maghrib ke darichon se mashriq ko ubhara hai

ab jaa.en to pahchane shayad hi vahan koi

vo des jahan ham ne ik arsa guzara hai

naale to kahin ahen, ik hashr sa hai har su

hai kaun jo duniya se is tarah sidhara hai

ham rahne lage ‘ḳhalid’ ḳhvabon ke jaziron men

puchha tha kabhi us ne kya naam tumhara hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Mai-KHane Mein baDhti Gai Tafriq-E-Nihan Aur

Jacha Na Kuchh Bhi Nigahon Ko Muntaha Ke Siwa

poet

Kab Zulf-E-Dota Unki Pareshan Nahin Hai

Main Wo Aansu Ki Jo Mala Mein Piroya Jae

sahir-ludhianvi

Kya Miliye Aise Logon Se Jin Ki Fitrat Chhupi Rahe

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet